Shab E Qadr Ke Fazail – शबे क़द्र के फ़ज़ाइल

SHAB E QADR Ke Fazail Mein Surah-E-Qadr Nazil Hui, Allah Ta’ala Ne Isi Shab Mein Quran-E-Haqim Yaqbaargi Lauhe Mehfooz Se Aasmaane Duniya Ki Taraf Nazil Farmaya.

Shab E Qadr Mein Ibadat Karna Hazaar Mahino Ke Ibadat Se Behtar Hai. Hazaar Mahino Se Murad, Jisne Uss Raat Ek 2 Rakat Namzaaz Padhi, Goya Use Shab E Qadr Ki Barkat Se Hazaar Mahine Ibadat Karne Se Bhi Zayada Sawab Hasil Kiya.

Shab E Qadr Mein Hazrat Jibrael Alaihissalaam Aur Beshumaar Farishtein Duniya Ki Taraf Utarte Hain, Aur Jo Log Ibadat, Wa Riyazat Mein Mashgool Rehte Hain. Unhein Salaam Pesh Karte Hain Aur Unke Liye Istigfaar Karte Hain. Aur Ye Farishte Subha Sadiq Tak Rehte Hain.

Shab E Qadr Ki Fazilat Mein Ahadees Bahot Hai. Jisme Se Kuchh Yahan Pesh Hain.

Hadees E Paak: Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai, Ke Huzoor E Aqdas Sallal Laahu Ta’ala Alahi Wasallam Ne Irshad Farmaya:

“Ramzaan Mein Ek Raat Aisi Hai Jo Hazaar Maheeno Se Behtar Hai. Jo Iski Bhalaiyo Se Mehroom Raha Wo Beshak Mehroom Hai.” (Nasai)

Hadees E Paak: Hazrat Anas Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai, Kehte Hai Ramzaan Aaya To Huzoor E Aqdas Sallallaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmayann:

“Ye Maheena Aaya Is Mein Ek Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai. Jo Isse Mehroom Raha Wo Har Cheez Se Mehroom Raha Aur Uske Khair (Bhalai) Se Wahi Mehroom Hoga Jo Poora Mehroom Hai.” (Ibne Majah)

Hadees E Paak: Hazrat Salman Farsi Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai, Huzoor E Aqdas Sallallaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya:

Aye Logo! Tumhare Paas Azmat Wala Barkat Wala Maheena Aaya Wo Maheena Jisme Ek Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai.” (Baihaqi)

Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raduyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai, Ke Huzoor E Aqdas Sallallaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya:

“Jo Iman Ki Wajah Se Aur Sawab Ke Liye Shab E Qadr Mein Ibadat Karega Uske Agle Gunaah Bakhsh Diye Jaayenge.” (Bukhari, Muslim)

Lijhaza Shab E Qadr Mein Zyada Se Zyada Ibadat Karna Chahiye, Ye Raat Bahut Buzurgi Aur Fazilat Wali Hai. Iska Har Lamha Ibadat Mein Guzarna Chahiye, Is Raat Ko Idhar Udhar Ghoom Kar, Sadkon Par Baith Kar, Behuda Baaton Mein Guzaar Dena Sakht Mehroomi Hai. Baaz Log Aisi Raaton Mein Raat Ke Aakhir Hisse Tak Jaagte Hain Phir So Jaate Hain Aur Din Mein Uthte Hai. Iss Tarah Unki Fajr Ki Namaz Qaza Ho Jo Jaati Hai. Jo Ke Jaayez Nahin. Jin Logo Ko Fajr Mein Bedaar Hone Ka Yaqeen Na Ho, Unko Aise Waqt Mein Sona Hi Mana Hai.

Aise Logo Ko Chahiye Ke Isha Ki Namaz Jamat Se Padhkar So Jaayein Aur Fajr Ki Namaz Jamat Se Padhein Ke Hadees Sharif Mein Hai Ke Huzoor E Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya: “Jisne Ba Jamat Isha Ki Namaz Padhi Goya Aadhi Raat Qayam Kiya (Ibadat Kiya) Aur Jisne Fajr Ki Namaz Jamat Se Padhi Goya Poori Raat Qayam (Ibaadat) Kiya.(Muslim Sharif)

Shab E Qadr Ki Raat Mein Qasrat Se Nawafil Padhein Aur Agar Zindagi Ki Qaza Namazein Ho, To Behtar Ye Hai Ke Nawafil Ki Jagah Qaza Namazein Padhein Aur Taakhir Se Adaa Karne Ke Apne Rab Se Maafi Maange.

ALLAH TAALA Ham Sab Logo Ko Shab E Qadr Ki Raat Ke Ehtaram Ki Taufeeq Ataa Farmaaye.. Ameen.. Summa Ameen..

Related posts

Fazail e Ramzaan Sharif – फ़ज़ाइले रमजान शरीफ

by Imtiyaz Sagri
10 months ago

7 Different Types of Logos Present from Sufi Designs

by Imtiyaz Sagri
5 months ago
Exit mobile version